Vivek Shayari Final Cut
0 (0 Likes / 0 Dislikes)
Hai mohabbat hayaat ki lazzat
hayaat yaani duniya, aur lazzat yaani maza
Hai mohabbat hayaat ki lazzat
Warna kuch lazzat-e-hayaat nahi...
Hai mohabbat hayaat ki lazzat
Warna kuch lazzat-e-hayaat nahi...
Kya ijaazat hai ek baat kahun,
Ma'm
Kya ijaazat hai ek baat kahun,
Wo... magar, khair, koi baat nahi...
(Applause)
PGP30 wale kitne hain aur PGP31 wale kitne hain
PGP30 wale haath utha dein
aur PGP31?
(Swati: Hume jaante nahi ho? ;P )
Ye zikr karna chaahta tha main
Thoda serious le jaaun phir pyaar mohabbat ki baatein karenge
ki...
haal hi mein ye hua tha ke
business formals compulsory kar diya tha logo ne, PCOM walo ne
PCOM wala hai kya koi yahaan?
Maza aa jaayega agar koi ho to...
Nahi...?
Humein laga ye to change hona chahiye,
koi sense nahi banta har kisi PPT mein aap Business Formals pehenke jaayein
Lekin ye hai ke koi awaaz dene ko tayyar nahi hai,
Koi apni pehchaan dene ko tayyar nahi hai,
Log anonymous mail likhte rehte hain...
To phir humare section mein baatein waatein hui
Aur logon ne kaafi fatkaara mujhe, ke aisa sab mat karo,
Kyun bawaal le rahe ho
Lekin humne phir bhi likha ke
This doesn't make sense
Hope this thing gets resolved amicably
Aur do din baad humne dekha ke wo Business formals...
Aisa hota hai ke PCOM kabhi sunta nahi hai baat
Lekin do din baad humne dekha ke wo Business formals jo hai wo Smart Casuals mein change hua
(Ananya & the front row : Applauding)
Baja lo.. baja lo...
Sab taaliyaan bajayein, Ananya aur ye first row...
Taaliyaan bajayein, is baat pe to banta hai...
(Applause)
To jaise hi wo Smart Casual dekha tab ye khayal aaya (likha)
Halaanki main apne likhne ko lekar bohut hesitant rehta hu
Mujhe perfection chahiye, jo bhi main likhta hu...
Kaafiya mil raha hai ke nahi, radeef mil raha hai ke nahi...
Lekin jaise hi wo Smart Casuals dekha to ye khayaal aaya (likha) ki...
Na talwar...
Dekhiye constructive power, "Pen is mightier than the sword"
To wo constructive power dekhiye ke
Na talwar, na bandook, na bam mein hai...
Na talwar, na bandook, na bam mein hai...
Duniya sanwaarne ki taakat, sirf, is kalam mein hai...
(Audience : Applause)
(Manish & Rishi : kya baat hai, kya baat hai, bohut badhiya)
To ab, aur, kuch pyaar mohabbat ki baatein
Professor Vipul aaye hue hain to maine kaha (socha) ke
Pyaar mohabbat ki baatein karni hai,
Aur Archana Ma'm bhi baithi hai...
To main ye pura khayaal rakhunga ke
Jo daayre hain unmein rehkar daayron ke baahar niklu...
(Silence)
Bankar sard hawayein dhuan ud jaayein,
Rahat Indori ka hai,
Rishi hain kya? Rishi Jain, Indore se hain...
Bankar sard hawayein bhi dhuan ud jaayein,
Bankar sard hawayein bhi dhuan ud jaayein,
Wo, ek lihaaf main odhun to sardiyaan ud jaayein...
Ananya & Manish both say : Oh..
(I asked both of them later "did you understand?)
(Ananya did, Manish didn't :D)
Nahi samajh mein aaye to bhi baja sakte hain, baadmein samajh lijiyega...
(Audience : Breaks into laughter)
Wo, ek lihaaf main odhun to sardiyaan ud jaayein...
Aur
Rahe khayal ke majzub-e-ishq hain hum,
Majzub-e-ishq : Absorbed, lost in love
Rahe khayal ke majzub-e-ishq hain hum,
Zameen se phukein to asmaan...?
Audience : Ud jaayein
(Applause)
Theek hai
Pehle soch raha tha ke kuch...
Ye jo classics hain wo to main bina dekhe suna sakta hu
Aakhir main, do, jo hain, jo maine Amlan Lenka ke liye likhi thi
Wo main aakhir mein sunaunga,
Kyunke uske baad, kuch aur, main suna nahi paunga
It is THAT emotionally strong ke phir
Kuch bola nahi jaata mujhse
Uske hone ke baad
To us se pehle jab tak mujhe lage ke aap sunne ke mood mein hain
Tab tak, ek do ek do aur sunata hu
And then I'll end with Amlan Lenka..uh.. Creations..
Wo jo uske liye maine likhi
To.. Sunein ki....
Naya ek rishta...
Jaun Eliya ka hai...
Aaj kal ye hota hai ke, humare relationships jo hai
Bohut chhote ho gaye hain..
Hafte mein kuch shuru hota hai aur hafte bhar tak khatam bhi ho jaata hai
We have more breakups than we have the beginning of relationships
Manish : Love in Paris! Vivek!! in France...
(Section of Audience : Giggling)
No... Not in France
Lisa hai kya yahaan (audience mein)
Wo bata degi ke aisa waisa kuch nahi hota,
log yahaan afwaah udaate hain bas
To... Breakups pe hai, aap usko khayal mein rakh ke chaliye..
ke aaj ka mahaul.. Sixties mein likha tha Jaun Eliya ne....
Naya ek rishta paida kyun karein hum,
Naya ek rishta paida kyun karein hum,
Ye hota hai jab aap, jhagadte hain kisise, break up karte hain
Jhagda karte hain tab, you give birth to a...
A.. a... new relationship, animosity
wo dushmani paida hoti hai
and then you remember, arey usne mujhe aisa kiya/kaha tha, main chhodungi nahi, ya yaad rakhunga, ya jo bhi hai...
Ye khayal rakhiye...
Naya ek rishta paida kyun karein hum,
Bichhadna hai to jhagda kyun karein hum..
Khamoshi se adaa ho...
"Ye kyun karein hum aap dhyaan rakhiyega, kaafiya aur radeef hai...
Kyun karein hum repeat hoga...
Mazaa aayega agar aap dhyaan mein rakhein to...
Naya ek rishta paida kyun karein hum,
Bichhadna hai to jhagda kyun karein hum...
Khamoshi se adaa ho rasm-e-doori,
Khamoshi se adaa ho rasm-e-doori,
Koi hungama barpa kyun karein hum...
Ye kaafi hai ke hum dushman nahi hain,
Ye kaafi hai ke hum dushman nahi hain,
Wafadari ka daawa kyun karein hum...
Wafa, ikhlaas, kurbaani, mohabbat,
"ikhlaas yaani commitment"
Wafa, ikhlaas, kurbaani, mohabbat,
Ab in lafzon ka peechha kyun karein hum...
Ab in lafzon ka peecha...?
Audience : kyun karein hum...
Zulekha-e-azeezan baat ye hai,
Zulekha-e-azeezan : fair skinned beloved
Zulekha-e-azeezan baat ye hai,
Bhala ghaate ka sauda kyun karein hum...
Humari hi tamanna kyun karo tum,
Tumhari hi tamanna kyun karein hum...
Naya ek..
Aur nahi duniya ko jab parwaah humari,
Nahi duniya ko jab parwaah humari,
To phir duniya ki parwaah... ?
(Anticipatory Silence)
Audience : Kyun karein hum...
Ab taaliyaan baja sakte hain aap
(Applause)
arey, bohut break-up ho gaya na,
Ab kuch achha hona chaahiye
Yeh engingeering colleges mein aisa hota hai ke
Jab tak aap final year mein pohonchte hain,
aur tab tak first year mein jo fresh... log aate hain
agar unse aapki dosti ho
To aapke beechmein lag bhag teen char saal ka faisla ho jaata hai
To... matlab...
Ehtraaman log aapko "aap" kehne lagte hain
aur ragging bhi hoti hai engineering colleges mein to log "sir, sir" (kehke address karte hain
Kitne log hain engineering... se...
(Majority of the audience raise their hands up)
To ye log samajh rahe hain ke main kya keh raha hu....
to... haan... to...
Jaun Eliya ka hai...
Dekhiye bohut jaldi khatam ho jaayega..
Aap dhyaad dijiyega, bas do line mein khatam ho jaayega
Sharm, dehshat, jhijhak, pareeshaani,
Sharm, dehshat, jhijhak, pareeshaani,
Naaz se kaam kyun nahi leti...
Sharm, dehshat, jhijhak, pareeshaani,
Naaz se kaam kyun nahi leti...
Aap, Woh, Ji, Magar,
Ye sab kya hai,
tum mera naam kyun nahi leti!
(kya baat hai, kya baat hai)
(Manish or Rishi : koi nahi, koi nahi Vivek, koi to legi!)
(Kameene dost)
(Applause)
Ab ye khayal hai mujhe ke
Vipul sir baithe hain,
Aur madam bhi baithi hain...
To main ye sunana chahunga...
Bohut classic si hai,
Main chaahta tha ke kuch classic sa sunaun
Aur ek Poet ki ye zimmedari bhi hoti hai ke
Jab audience nikle hall se
to ek do shabd apne zehn mein leke jaaye, jo unhein pehle na pata ho
Vocabulary building wala jo,
Jo hum log CAT ke pehle kiya karte the,
Usi tarah ka...
Ismein do shabd aayenge,
Urooj aur Zawaal
To isse pehle main Ananya se baat kar raha tha
Urooj pata hai kya?
To usne kaha "haan haan mere college ke fest ka naam tha Urooj"
(Scattered Laughter)
To aise hum yaad rakhte hain... :P
IIM Bangalore ka Unmaad hai
aur humare wahan (NIT Jamshedpur) Ojass.
to Urooj yaani Rise ya Beginning
aur Zawaal yaani Fall
Ye yaad rakhiyega to Maza aayega...
(Rohit Royalson : Maza aa raha hai)
To...
Naye mausamon ki koi khushi,
Na gayi ruton ka malaal hai...
tere baad meri talaash mein...
Naye mausamon ki koi khushi,
Na gayi ruton ka malaal hai...
Tere baad meri talaash mein,
Na khwaab hai, na khayaal hai...
Wo charaag hoon, ke jise hawa,
Na jala saki na bujha saki...
Wo charaag hoon, ke jise hawa,
Na jala saki na bujha saki...
Meri raushni ke naseeb mein,
Na urooj hai, na zawaal hai...
(ek baar wapas aayega tab maza aayega aapko)
Meri raushni ke naseeb mein,
Na urooj hai, na zawaal hai...
Ye hai shehr-e-jism, wo shehr-e-jaan,
Na yahaan sukoon... ... ...
Shehr-e-jism..uhh....
Reference dekhiye poetry mein sab kuch symbolic hota hai
Kuch bhi directly kaha nahi jaata
Hum log yahaan... intellect aur sab gyaan lene aaye hain
So this is shehr-e-jaan
Aur shehr-e-jism jo hum pyaar mohabbat karte rehte hain
The physical, materialistic world....
Ye hai shehr-e-jism, wo shehr-e-jaan,
Na yahaan sukoon, na wahan sukoon...
Yahan khushbuon ki talaash hai,
Waha raushni ka sawaal hai...
Ab ye last hai, apko maza aayega ismein
Wo jo faaslon mein thi kurbatein,
Baat ye hai ki jab aap meelo door hote hain,
Tab bhi agar aapke dil milte hain to aap kareeb hote hain...
Aur aap ek hi class mein baithe ho, baaju baaju mein bhi baithe ho,
Agar dil nahi milte to wo faasle hote hi hain..
Wo jo faaslon mein thi kurbatein,
(kurbatein yaani nazdikiyaan)
Wo jo faaslon mein thi kurbatein,
Ye jo kurbaton mein hai faasle...
Wo jo faaslon mein thi kurbatein,
Ye jo kurbaton mein hai faasle...
Wo mohabbaton ka urooj tha,
Ye mohabbato ka...
(Two people in the audience : Zawaal hai...)
(Applause)
Ab bataiye aur kuch sunne ke mood mein hain ya wo jo Amlan ke liye likhi thi wo sunaun?
(The next few recitations couldn't be recorded because of technical reasons)
(Applause)
Ab ye last jo maine Amlan ke liye likhi hain, wo main suna deta hu...
Iska ye hai ke, jo Uman Khetan humare section mein hai... Azeez hain humare...
To unhone mujhe ek FB post mein tag kiya
jismein kuch char line-ein likhi thi ki...
Sukoon ki baat,
Mat karo Saahib,
Bachpan wala wo,
Itwar ab nahi aata...
Aur phir meri koshish thi ke uske baad main kuch likhun
Aur ismein jo aakhri stanza hai, wo aisa ho gaya ki...
Amlan ka khayal aaya aur mujhe wo line-ein aa gayi (zehn mein)
Baaki logon ke liye PGP31132 sirf ek number ho sakta hai
lekin
Jo hua, aur uske baad, jo... jaisa hum...
as a community, as a sangh, jo feel karte hain
main keh raha hu...
Uske pehle kuch normal baat,
Aur last line mein ek reference hai..
Tangential reference.
Sukoon ki baat,
Mat karo Saahib,
Bachpan wala wo,
Itwar ab nahi aata...
Pehla pyaar to,
Pehla pyaar hota hai,
Pehla pyaar to,
Pehla pyaar hota hai,
Dil waisa kisi pe,
Baar baar nahi aata...
Jaante hai wo,
Sab j....
Ye jo maamla hai
Long distance relationship aaj kal ho raha hai na
ki sab phone pe hi hota hai
Aaj kal log milte hi nahi hai
ek do din ke liye milte hain,
Aur phir
chhe chhe mahine tak phone pe hi baatein ho rahi hai...
aur baat khatam hone pe aap kehte hain "good night kiss?" ya aisa kuch
to saamne se jawaab aata hai ke
"ye sab to humko nahi aata"
"Ye kya baat kar rahe ho"
Phir aap yaad bhi dilaayein to log kehte hain ke "nahi nahi, nahi hua tha wais kuch"
"Bhul gayi mujhe kuch yaad nahi hai"
so... ye jo log aisa kehte hain...
Chaahte dono hain.. Lekin, ye, aise bas bhaav khaana hota hai
To us pehlu ko dekha gaya hai...
Pehla pyaar to,
Pehla pyaar hota hai,
Dil waisa kisi pe,
Baar baar nahi aata...
Jaante hai wo,
Sab jaante hain,
Jaante hai wo,
Sab jaante hain,
Kehte hain jo humko,
Pyaar nahi aata...
Aur ye aakhri Amlan wali line ki...
Jaata hai jo,
Chala hi jaata hai,
Safar se lautkar insaan,
Har baar nahi aata...
(Silence)
(Applause)
Imein to Tangential reference tha...
Ab iske baat wali...
Do teen linein jo hain, wo sirf, aur sirf, Amlan ke liye likhi gayi hain..
Sunein ki...
Zindagi ka aghaaz tha wo to,
(Paani hai kya?)
...
Gala bhaari ho jaata hai, jab bhi main... ye padhta hu...
Ya sunata hu
Zindagi ka aghaaz tha wo to,
Na jaane kyun phir wo mit gaya,
Na jaane kyun charaag bujh gaye,
Na jaane kyun aashiyaan lut gaya...
Zindagi ka aghaaz tha wo to,
Na jaane kyun phir wo mit gaya,
Na jaane kyun charaag bujh gaye,
Na jaane kyun aashiyaan lut gaya...
Maa ne kaha tha, gaur kariyo aasmaan pe,
... Ye aap sabhi ki personal baatein main bata raha hu, jab ye hua nahi tha
Aur jab, mujhe khabar bhi mili jis shaam
To tab tak ek disconnect tha
Aur ek saal campus mein na rehne ka ye disadvantage hota hai ke aap
Apne next batch to chhodo, apne batch se bhi aap mil nahi paate sab se
To Amlan Lenka se meri personal baat nahi hui thi
Aur tab tak wo disconnect tha
Lekin jab, condolence meet mein, jo jo baatein kahin gayi
Satish Sir ne kaha ke uske Father uske Mother ne ye kaha
Father : the two of us, he was just like a friend
To mera ek dost hai Vignesh
Aap log jaante honge jo PGP30 se hain
Wo umad umad ke rone laga...
Wo bhi mere saath tha Paris mein ek saal,
Wo bhi nahi jaanta tha Amlan ko
To wo rone laga,
Aur mujhe ye samajh nahi aaya ke kya ho raha hai
To usne (Vignesh) kaha ke "yaar, Satish sir ne jo kaha, wo exactly wo baatein kahi jo mera bhai kehta"
"My younger brother, he looks up to me so much, kal us se phone pe baat hui
wo sochta hai main pata nahi kya kar raha hu yahan, bohut bada kaam kar raha hu...
Mere mom... mere dad... to.. Exactly wahi baatein kahin unhone"
Aur wo sunne ke baad, wo
mujhe jhanjhode rakha is khayal ne
Aur main so nahi paaya raat bhar, aur
Phir mujhe laga ke main kitna kam time deta tha,
Jab wahan rehta tha to..
Pandrah din mein, bees din mein ek baar baatein hoti thi Parents se Skype pe
Aur kuch bhi nahi karte the, party warty karte the, yahi yaari dosti mein hi time beetta tha
Lekin kabhi koi importance nahi diya
Aur ab main har roz call karta hu,
ke nahi... baat karni chahiye..
Pata nahi... Life is so unpredictable ke kuch bhi ho sakta hai...
To jab aap kahin jaate hain,
Jab bhi meri mummy, jab main Gujarat se Jamshedpur jaata tha...
To har baar ye kehti thi, beta...
Jamshedpur...Tab Jharkhand jo hai,
(Jo Jharkhand se hain wo bura na maanein)
To Gujarat mein perception aisa hai ke
naxali ilaaka hai, pata nahi kya ho jaaye wahaan, is type se...
To maa kehti thi, tu jaaiyo, Bhagwaan hai...
She is a superstitious person
To bhagwaan hai, khayaal rakhega,
Hifaazat karenge, khudaa...
Aur mere jaisa Atheist
Naastik insaan, ka gussa is line mein hai, aap suniyega ki...
Maa ne kaha tha...
Zindagi ka aghaaz tha wo to,
Na jaane kyun phir wo mit gaya,
Na jaane kyun charaag bujh gaye,
Na jaane kyun aashiyaan lut gaya...
Maa ne kaha tha, gaur kariyo asmaan pe,
Farishte, Khuda, pehraa dete hain jahaan pe,
Maa ne kaha tha, gaur kariyo asmaan pe,
Farishte, Khuda, pehraa dete hain jahaan pe,
Na jaane kahan wo farishte gaye,
Na jaane kahan wo khuda gaya...
Na jaane kahan wo farishte gaye,
Na jaane kahan wo khuda gaya...
Dosti yaari masti pyaari,
Har mehfil har bazm thi bhaari,
Dost bhi ab bikhar se gaye,
Aalam bhi ab ukhar sa gaya...
Aakhri hai suniye ki
Jo log Amlan ke kareeb the wo kehte hain ke "Bada zindadil insaan tha"
"Aur uski wajah se hi humlog Camraderie jeete, sabko sanjoye rakhta tha"
To usko refer karte hue, usko address karte hue, ye line hai
Na jaane kyun charaag bujh gaye,
Na jaane kyun aashiyan lut gaya...
Kehte the jaan de denge tumhare liye,
Har shaan har aan de denge tumhare liye,
Kehte the jaan de denge tumhare liye,
Har shaan har aan de denge tumhare liye,
Na jaane wo yaar kahan gaye,
Na jaane wo dost kyun kho gaya...
Na jaane kyun charaag bujh gaye,
Na jaane kyun aashiyan lut gaya...
(Applause)